Tuesday, July 20, 2010

LAMHOON KA KHAIL

Din Ujley hain jo aaj yahan tu kal ko kaali raatain hain
ye duniya hi lamhaati hay, lamhaati is ki baatain hain

ik lamha paida hone ka, ik lamha jaan sey jane ka
ik lamha fas'l ugaane ka, ik lamha kaat k khaney ka
ik lamha maar k dam lena, ik lamha usko shifa dena
ik lamha mehel bana lena, ik lamha us ko dha dena

lamhoo.n ka hai ye khail miyaa.n, sab kuch hi yaha.n lamhaati hai

ik lamha neer bahaney ka, ik lamha hansney hansaney ka
ik lamha raqs ka hota hay, ik lamha ghum k khane ka
ik lamha sang ki barish ka, ik lamha aan sey darne ka
ik lamha eid ka alam hay, ik lamha noha karne ka
ik lamha seene lag jana, ik lamha aahai.n bharne ka
ik lamha sab kuch hasil ho, ik lamha sab kuch kho dena
ik lamha saint k rakhne ka, ik lamha sab hi dobo dena

lamhoo.n ka hai ye khail miyaa.n, sab kuch hi yaha.n lamhaati hai

ik lamha jism dareeda ho, ik lamha usko see lena
ik lamha dill ko dukha dena, ik lamha sab kuch pee lena
ik lamha piyaar ka armaa.n hay, ik lamha nafrat barsana
ik lamha jang ka samaa.n hai, ik lamha seene lag janaik lamha quf'l-e khamoshi,
ik lamha sab kuch kehne ka ik lamha eid ka samaa.n hai, ik lamha zilm k sehne ka
ik lamha jaan sey jane ka, ik lamha zindah rehney ka

lamhoo.n ka hai ye khail miyaa.n, sab kuch hi yahaa.n lamhaati hai
ye bhi hai paraya maal miyaa.n, ye saans jo aati jaati hai
din ujley hain jo aaj yahaa.n, tu kal ko kaali raatai.n hian
ye duniya hi lamhaati hai, lamhaati is ki baatain hain

(TEYYEB SALEEM)

No comments:

Post a Comment