Monday, July 19, 2010


SAAMAN-E-TIJARAT MERAA IMAN NAHI HAY


saaman-e-tijaarat meraa imaan nahi hai
har dar pe jhuke sar ye meri shaan nahi hai

har lafz ko siine meen basaa lo to bane baat
taakon meen sajaane ko ye quraan nahiin hai

allaah merii rizq kii barakat na chalii jaaye
do roz se ghar meen koi mahamaan nahiin hai

ham ne to banaaye hain samandar meen bhii raste
yuun ham ko mitaana koi aasaan nahiin hai

jis ko buzurgon kii rivaayat na rahe yaad
us shaKhs kii logon koii pahachaan nahiin hai

No comments:

Post a Comment