Wednesday, July 28, 2010

HARFE GHALAT JAHAN BHI KAHEEN MOOTABAR HUA


Harfe ghalat jahaN bhi kaheeN Moo'tbar hua
Phir zebe tasht mujh se diwane ka sar hua

Jashne tu'aame yaraN ke dauraN khabar mili
Faqaa phir aaj mere parosi ke ghar hua

Mela tha khud numai ka,woh dambakhud hajoom
Toota jo aaina to kaheen muntashar hua

Pehle safhe pe mar gaye shahzad aur parri
Qissa taweel raat ka yoon mukhtasar hua

Juz khatte dood kuch na tha bujhke charaghe shab
ye inkishaaf uspe bhi waqte sahar hua
(AZER SHAHEEN)

No comments:

Post a Comment